Wednesday, 31 May 2017

Ab Jis K Jee Me Aye Wohi Roshni Paye

Ab Jis K Jee Me Aye Wohi Roshni Paye
Humne To Dil Jala K Sar-e-Aam Rakh Diya...

Ab Jis K

Yad Kar K Tere Loat Aney K Wadon Ki Ghari

Yad Kar K Tere Loat Aney K Wadon Ki Ghari
Khud Ko Ik Masoom Bachy Ki Tarha Behlaun Main...

Yad Kar K

Jab Wafa Par Hogi Koi Bat To Main Yad Aunga

Jab Wafa Par Hogi Koi Bat, To Main Yad Aunga
Na Bhaye Gi Tujhe Jab Kainat, To Main Yad Aunga

Abhi Din-E-Roshan Ki Shokhiyon Se Tu Mayal Hai
Jab Chaye Gi Andheri Raat, To Main Yad Aunga

Abhi Bahar Hai, Chaon Hai, Gham-E-Zindagi Ki Dhoop Nahi
Tham Jaye Gi Jab Ye Barsat, To Main Yad Aunga

Ye Wo Duniya Hai Jis Ne Kisi Ko Kuch Na Diya
Tanha Hogi Jab Teri Zaat, To Main Yad Aunga

Tu Mujhe Bhoola Hai Roshan Waqt Main To Ye Bhi Sun
Tang Hogi Jab Tujh Par Hayaat, To Main Yad Aunga

Ubhre Hain Naye Jazbat Tere Dil Main Zara Theher Abhi
Tujh Se Uljhain Ge Jab Tere Jazbat, To Main Yad Aunga

Mere Shair, Quran-E-Wafa Ki Ayaat Hain 'Khurram'
Parhe Ga Zamana Jab Ye Ayaat, To Main Yad Aunga...

Submitted By: Khurram Kazmi

Wo Jo Khamoshi Nahi Sun Paya

Wo Jo Khamoshi Nahi Sun Paya
Lafz Ab Uska Kya Bigaren Gy...

Wo Jo Khamoshi

Monday, 29 May 2017

Ankh Kambakht Se Is Bazam Me Ansu Na Ruka

Ankh Kambakht Se Is Bazam Me Ansu Na Ruka
Aik Qatrey Ne Daboya Mujhe Darya Ho Kar...

Ankh Kambakht Se

Tu Bhi Hissa Hai is Ta'luq ka

Tu Bhi Hissa Hai is Ta'luq ka
Main He Kab Tak Laroon Zamany Se...

Tu Bhi Hissa

Samandar Me Fana Hona To Qismat Ki Kahani Hai

Samandar Me Fana Hona To Qismat Ki Kahani Hai
Jo Marty Hain Kinaron Par Mujhe Dukh Un Par Hota Hai...

Samandar Me Fana

Toot Sa Gya Hai Mere Aitbar Ka Wajood

Toot Sa Gya Hai Mere Aitbar Ka Wajood
Ab Koi Mukhlis Bhi Ho To Yakeen Nahi Ata...

Toot Sa Gya